Suna hai .. adhura ishq dard de kr jaata hai .. Aur hamare is adhure ishq ne mujhe is dard se rubaroo kara diya ... Mere dil ne kaha tha ki wo dur jaa rhi tujhse ... Maine palat kr haq jamate hue kaha "Nahi .. wo pyaar karti hai mujhe .." Aaj mai afsos karta hu ki us din kaash apne dil ki sun li hoti ... Maine tere dur jaane ka dard mehsoos kiya hai ... Ki kaise jo shaam mai tere sath teri zulfo me apni ungliya uljhaya karta tha .. Aur aaj meri ungliyo me bs teri zulfo ki mehak reh gyi hai ... Tu poochti thi na ... Mujhe raato me neend kyu nhi aati .. Arey jin haatho ko kabhi mai thaama karta tha .. unhe shayad ab koi aur tham lega ... Aaj shayad tu mere sath nhi hai ... Par ye dard jo hamare adhure ishq ne diya hai ... Tere sath bitae wo pyaar bhare lamho ki yaaden is dard ko mujh par kabhi haawi nhi hone deti ... Haa .. suna hai maine adhura ishq aksar dard de kar jata hai ..
Tu pehle ki tarah .. ab mujhse baat nahi karti ... Yaad aata hai mujhe tera muskurana, Teri nadaan harkate aur tera wo choti choti baaton par pyaar se gussana aur manane par "aacha koi baat nahi" keh kar mere taraf pyaar se dekhna ... Wo kya hai na ki .. mera dil nawakif tha .. is haqiqat se ki .. tu mujhe is kadar chor kar chali jaegi ... Maine tujhe khone ke darr se .. Hamare pyaar ko muthhi me kas kar pakar kar rakha tha .. Par tu ret ki tarah meri muthhi se fisal gyi ... Tere jaane ke baad .. maine .. Sath dekhe un saare sapno ko .. Haqiqat ki kadmo se kuchla hai ... Haa ... tu pehle ki tarah .. ab mujhse baat nahi karti